Thursday, May 19, 2011

WOH PAL

tum the samne hum the samne
woh pal yun hi gujar gaya
tum yun hi sar jhukaye rah gaye
aur hamse bhi na kuch kah gaya,
tum kho gaye
jag ki us bhid me
jis bhid me un palo sang
tanha mein rah gaya,
jindgi ki kitab me
un panno ko dhoondenge
jin panno me woh pal
dhundhla sa ho ke rah gaya,
pal pal karke ye jindgi
yun hi gujar gayi
aur main bas
un palo ki batein karta rah gaya,
kahin mil jaye agar
woh pal, to sochenge
kyun jindgi ka har pal, bas tumhara aur
us pal ka ho ke rah gaya.

TERI YAAD MAIN

Likh raha hoon teri yaad me
Ye na samajhna yaad tujhe me karta hoon,

Janta hoon phir na tum miloge
Phir bhi milne ki faritaad me karta hoon,

janta hoon sab kuch hai yaha par
phir bhi jaane kya talash main karta hoon,

rastain alag hai hamare maloom hai mujhko
phir bhi rahoan me palke bichaye main rakhta hoon,

mil na pata hoon tumse haqiqat me
khwaboan me isliye dekha main tumko karta hoon,

bhool gaya main sabkuchwoh waqt who sama
bhool kar sabkuch phir bhi yaad tujhe main rakhta hoon!

Thursday, May 5, 2011

Manzile aur bhi hai

Manzile aur bhi hai pane ko
Yeh jana jab tumko na paya humne,

Tum bin manzil ki talash me chal diye
Par tumhare naam ka ek sahara to paya humne,

Raahoan me tumhare kadmo ke nishan dhoonda
Diya dosh hawa ko jab na unko paya humne,

Tum the khamosh zuban bhi chup thi
Par hale dil aankhoan se bataya tumne,

Aankhoan me dhoop se chamak liye baithe the
Pal bhar me badloan se yeh kya barsaaya tumne,

Tum na samajh sake kya humne chaha
Par kabhi na tumko yeh samjhaya humne,

Jise hum diloan jaan se pyar samajh baithe the
Useh bachpan ka ek khilwad bataya tumne.

--Sudhir Prasad

Wednesday, May 4, 2011

Smriti patal par ankit rekha

Smriti patal par ankit rekha,
anayas hi chali aati hai,
na chahte hue bhi who,
tumhara swaroop bana jati hai,
jab us akriti ke peeche se ,
dheere se tum muskurati ho,
aisha lagta hai mano,
har pal mujhe hi bulati ho,
jab pass jata hoon main tumhare,
sochta hoon chhoon loon tumko,
to oans ki boondo ki tarah ,
pal bhar me onjhal ho jati ho,
jab sochta hoon pa loonga tumko,
chalta hoon is utshah ke sath,
to tum kabhi na milne wala,
ek aseem kshitiz ban jate ho,
jab yun tutkar thak har kar baith jata hoon,
to tum phir samne aakar,
umeed aur utssah ki,
ek nayi kiran ban jati ho,
jab sochta hoon tumko,
tum mujhko samajh nahi aati ho,
har bar ki soch me,
ek nayi paheli ban jati ho,
jab bhi suljhata hoon,
us paheli ko to tum,
wahi smriti patal ki bas ek,
ankit rekha hi ban kar reh jati ho.

MAIN RONA CHAHTA HOON

Main Rona chahta hoon,
Kisi ke hathon ko thamkar,
Kisi ke aanchal ko apne ansoowo se dhona chahta hoon,
Main rona chahta hoon,

Apne armano ki rakh ko,
Apne ansoowo ki barsat se bhigona chahta hoon,
Main Rona chahta hoon,

Apne ansoowo ko jutakar,
gam ke dhage me unki ek mala pirona chahta hoon,
Main Rona chahta hoon,

Zindagi ke gamo ko bhulakar,
Maut ki aagosh me chain ki neend sona chahta hoon,
Main Rona chahta hoon,

Koi mile na sahi tum to ho kahin,
Jiski talash me yeh jeevan khona chahta hoon,
Main Rona chahta hoon,

Tum sochogi kyun main tumko itna chahta hoon,
Kyunki tum hi to ho jiske kandhe par sir rakh kar,
Main Rona chahta hoon.

Monday, April 21, 2008

jaam

meri har subah us shaam ko yaad karti hai ,
meri har shaam us jaam ko yaad karti hai,
pi thi jab unkee aankho se tanhayi main,
aaj bhi har ghunt unke naam ko yaad karti hai.

Thursday, April 10, 2008

kuch lines

"Is pal ko jee le aaj
ki beete pal ka khayaal na rahe,
is pal main kho jayen aise
ki agle pal ki fariyad hi na rahe"